Yeh sahi hai keh media kisi b muashre ke liye aik zor aawar talwar ki haisyat rakhta hai aur mojudah dor mein kisi cheez ki tashhir mein jis qadar moassar kirdar electronic media ne aur print media ne ada kia hai koi adarah aisi haisyat ka hamil nahi ho sakta.
Technique se yeh sabit ho chukka hai keh mukhtalif baron ki nisbat bache media se buhat asar lete hain lehaza TV policy banana walon ke liye zarori hai keh who maiyari aur nehayat umdah program is andaz mein dekhayain keh bache in se acha tassur lein.
Tv screen ache aur bure har tarah ke kirdar dekhaye jate hain. Chun keh bachon ke zehan na pokhta hote hain aur shauri tor par foran asar qabul karte hain. Afsos ki baat yeh hai keh who manfi asar ziadah jaldi qabul karte hain. dunya bhar ke chenal dekh lein. Bachon ke liye dars-o-tadrees, khel kod zehni nasho numa aur jadeed technology par manfi program pesh karne ki bajaye mosiqi aur khel kood ke program ziadah dekhaye jaye hain. Who b itne ghair dilchasp keh bache apna beshtar waqt dramas, films aur mosiqi ke program ko sunne mein guzar dete hain. Aise mein mandarjah zel asrat in ki shakhsiyat par haawi ho jate hain.
www.itexpertteam.blosgspot.com
Mar dhar, action se bhar pur film dekhne se sabar-o-tasaddud ka farogh.
Monasib tafreeh muhaiya na hone ki surat mein hilah joyi-o-fareeb kari ke tariqon mein izafah.
Nigahon ki kamzori
Study se ghaflat
Warzish-o-jismani harkat se mehromi
Aasabi zaaf
Dasti waghirah waghirah
In manfi asrat ke pesh nazar hota to yeh chahiye keh bachon ko TV ke samne kam baithne dein aur inhain intekhab ka saliqah sikhayain. Magar aam tor par hota yeh hai keh bache har nasihat se be bahar ho kar sirf TV dekhte rehte hain.
Mahireen kehte hai keh bachon ke liye pesh kiye janewale program buhat hassas aur ahum hote hain aur dunya bhar mein in programs ki taraf jo tawajjah di jati hai. inke ghair meiyari hone par jis qadar tanqeed aur noktah chini hoti hai. shayad kisi aur program nahi hogi log aur bilkhasus parents in programs ke bachon par asrat khas tor par qanon shikni, jasosi, badtimizi aur jaraim ke liye bachon ke maasum zehnon mein targheeb paida karne ke manfi awamil mein bachon ke malaowas hone ke khadshat par moztarab-o-pareshan rehte hain isi liye kaha jata hai keh bachon ke program likhne aur pesh kane wale ka kaseerul motalya hona zarori hai. ise bachon ki nafsiat se aagahi ho. jin bachon ke liye program kia jaraha hai in ke ird gird ke mazhabi, samaaji, saqafti, moashi, moashrati aur siasi halat ka gehra moshahidah ho. Magar hamare haan bachon ke program ke producer hazrat aksar-o-beshtar in baton ki taraf tawajjah ko in mien is had tak dilchaspi hoti hai keh 70% commercial program bachon ko zubani yaad ho jate hain yun producers ki zummah dari kafi had tak barh jati hai. keh inhain bachon ke elawah har tarah ka program is tarteeb se banana chahiye keh bache in se kuch na kuch zarur hasil karein.
Bachon ko TV ke muzir asrat se bachane ke liye in tajaweez par ghor kia jaye to buhat behtar hoga.
Bachon ke program ziadah tar basri mawad par mushtamil hote hain lehaza kisi b program mein picture ki bajaye kirdaron ki shakal mein ablagh kara ya jaye picture ki surat mein hi kahanyan batayi jayain.
Halat hazrah par mabni program bachon ke ilm mein izafah ka bais bante hain. In ki zehni satah ke mutabiq aise program tarteeb deye jayain aur har umar ke bachon ke liye quiz program hone chahiyain.
Tareekhi program puri sehat ke sath pesh karein takeh bachon ko apni tareekh se agahi ho.
Sirf talsamati ya alif laila program bananay ki bajaye jadeed technology, science, function aur computerize program banaye jayain magar aise nahi keh ghair fitri mehsus hon.
Mazhabi aur tadrisi program is andaz mein tarteeb diye jaiyain keh TV asal mainon mein aik teacher ka kirdar ada kare.